Kitni azeeyat se usne mujhko bhulaya hoga
Kitni azeeyat se usne mujhko bhulaya hoga
Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga
Baat be baat ankh us ki chalakti hogi
Us ne chehre ko bazoo mai chupaya hoga
Socha hoga us ne din mai kayi baar mujhe
Naam hatheli par likh likh ke mitaya hoga
Jahan us ne mera zikr suna hoga kisi se
Us ki ankhon mein koi ansoo to aaya hoga
Raat ke bhegne tak neend na aai hogi tujhe
Tu ne takiye ko bhi seenay se lagaya hoga
Ho ke nidhal mere yaadon se tu ne jana
Meri tasveer pe sar apna tikaya hoga
|